User Comments, category: "Lata list"
Home
User Rating: / 0
PoorBest 

Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai - 2
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai

La la la la la la, la la la la la la
Kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai
Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se ek umr churaani hai

Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai

Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon
Tu mera sahaara hai, main tera sahaara hoon
Aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai

Toofaan to aana hai, aakar chale jaana hai
Baadal hai yeh kuch pal ka, chhaakar dhal jaana hai
Parchhaaniyan reh jaati, reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai..

Add your comment

Your name:
Your email:
Your website:
Subject:
Comment:

Last Updated ( Friday, 20 March 2009 13:26 )